OMER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

OMER_BHAR_4U@MIG33.COM

NOW WE CHANGED THE NAME OF THIS FORUM OMER.DARKBB.COM

    shairo shairi

    Admin
    Admin
    Admin


    Number of posts : 627
    Registration date : 2008-12-25

    shairo shairi Empty shairo shairi

    Post  Admin Thu Feb 26, 2009 6:43 pm

    Chiragon talle ja chhipta har raat andhera
    Aaj, khula aankho par bhed yeh gehera

    Tanhai ka khanjar aisa dhasa sine mein
    Khatm ki umeedein mar gaya ehsaas mera.


    Chur chur hue dilke saare bharam jhoote
    Jo dikha zindagi ka benakab chehera

    Hawaon ne bhi saazish mere khilaaf ki
    Rukh modkar apna mera gharonda bikhera


    Zaroori hogaye jab dard jeete rahene ko
    Kar mohotaj ghumon ne muhse mooh phera



    milne ki khushi hai na buchhadne ka ghum
    Tanha hai na udaas hum.
    Apno ke toh kabhi ho na sake,
    Naa ban ke rahe apne hum..
    Uth na paye phir kabhi,
    Itna gire nazron se hum...
    Yaroone mere kisson ko phir
    gali gali neelam kiya..
    Dagabaaz padgaya naam mera,
    Tute sach ke sare bharam,
    Mahale mein mashur itne hue hum..
    Is dil mein azalse hain kuch zakhm
    Jo ab na pani maange,
    na chaahein ab marham.


    judai ke gham me jab aankh bhar aayi,
    Aankhon ne dil se phir teri tasveer mitayi.

    Bagh kahoon ya usse kahun main baahar
    kanton se jisne meri raah sajayi

    dhuan sa uthta hai jab bhi asmaan mein
    ilm hota waqtne kisi par meri kahani dohorayi

    Toofan bhala kya ujadta aashiyana mera
    Mere apno ne hi meri kashti dubayi

    DOsh to dil hi ka hai,kambakht pishla kyon
    kismatein toh hoti hai LIKHI LIKHAAYI



    Jo khud ek ghana saaya hai,
    Usse andhera kya dareyaga,
    jin palkon par asoon bhi moti lagte hain,
    unhe dard kya rulayega,
    Jiske labon par hardam rab ka naam rahe,
    uspe bura waqt aaya toh hasna sikhjaayega
    Aapni Manzil talashta chul tedhi chaal,
    Chand rekhaonse woh maat nahi khayega
    Dil ki raha mein galiyan bohat hai,
    Aane waala khohi jaayega,
    Soch mat yaara iis aangna aaja,
    pyar ITNA hai dilke saath pait bharjayega
    Dekh mujhe bus JAAN hai meri,
    Isse karaar tujh hi se hai..!!!




    pahunch na paye teri awaaz bhi jahaan
    khamoshi ke aise modpe waqt aathama.

    Chantle khaak har gali har kooche ki,
    chape chape ne mitaye mere nishaan.

    Masjid dhoondhe mandir bhi talashe
    tha dil mein chupa baitha mera Khuda.

    Aaj kyon kause hai teri deed ko aankhein,
    Kal khud hi hui thi kajal se bewafa.

    Yeh paakar apna banane ki lat tujhe,
    Allah ke bandhe karjayegi tabha.



    Tumne Jaane ki baat KI
    Toh jaane kyon DIL udaas hua.
    hadse zyaada chahate hai tumhe,
    Shayad, phir yeh ehsaas hua..
    Phele kabhi koi na itna Khaas hua..
    Tum sung beeta har Lamha,
    Door se paas hua...

    Dhun ho meri Saaz tumhara
    Dil Ka ishara tumhari Awaaz hua
    Tujh dil ne socha mera naseeb,
    aajse tera anjjaam hua
    Koi bhi Lamha,Koi bhi pal
    kya aisa tumhe mehsoos hua...

    Tum Nahi Jayoge,
    mujhko phir bhi vishwas hua,
    Isse dilko mujhpe aitraaz hua,
    Main dilpar dil mujhse naraaz hua
    Tujhse shuru tujh par khatam
    Har ek raaz hua,
    Yeh jaane kya sitam
    Dilpe aaj hua....
    AANKHIEN NUM, UN MEIN DHOONDLA HAR KHAAB HUA!!!!


    Pyar ka koi mol nahi,
    Yeh rishton mein tol nahi..

    "CHUPI" teri legayi jaan,
    Tere kadve bol nahi..

    Ik insaan hazaron rishtey,
    Duniya yunhi gol nahi..

    Maatti hoon; toh pathar kar de
    Khak mein aise ghol nal..


    Ankho se ashq bekhabar ho gai,
    khwab mere lahoo me tar ho gai..

    Ghar chaukhat par taane kastey,
    ashiqui kya hui, dar-b-dar ho gai..

    Dil kisi surat me aashna na hua,
    dukh jahan mile, udhar ho gai..

    Meri gali se guzre toh dekh jana,
    diljalon ki mehefil ke sar ho gai..

    Hayat-e-khushi harghiz ras na thi,
    chain mila jab, dard basar hogai

    dil har ehsaas se mehroom hai,
    dil basti viran khab banjar ho gai



    AAJ WO BADI SHIDDAT SE YAAD AAYA
    SAILAB AANSOO’ON KA ROK NA PAYA

    KABHI RUKH, KABHI ZULF, KABHI WO HIA
    SHAB BHAR HUSN-E-YAAR NE BUHAT RULAYA


    Ab mera Wasf-e-yaar aur Gham-e-yaar yahin paish hoga
    ok israr

    Ab kuch Dor-e-Ishq mein se!

    Nikla jo din to sham ka phir intizar tha
    Wo waqt aashqee ka kia khoshgawar tha

    Aaraish-o-zeeant ka kia imtizaj tha
    Ik bagh sa hota tha ghar mushk bar tha

    Wo bandishain se jaise khof-o-hisar kein
    Wo aarzo wo justozo sab be shumar tha

    Rehti thi ajab char soo ik chandni jawan
    Aashuftigi se her waqt her pal bahar tha

    Aankhon mein ratjage aur chehra wo eshq zada
    Wo qurbat-o-wisal ka dil per khumar tha

    Wo silsilay se jaisay paimane wafa ke
    Baham wo gilay shikway qol-o-qarar tha

    Sagar wo unkay nazuk pairo’n ki unglia’n
    Maqta chuna to dil buhat zar zar tha

      Current date/time is Sat Sep 28, 2024 8:25 pm